Search This Blog

Sunday, April 15, 2012

Listen to your heart

Bas tu apne Dil ke sun:-



Kya hogi meri zindagi aage
Khudko bataya tha maine.....


Jo socha hai wahi karunga...
Sabse kaha tha maine....


Lekin aaj,
Ye hawaye jab chhuti hai, kuch keh jaati hai

yeh pedo ki chhav, yeh mast sa mausam
lagta hai kuch to keh rahe hai mujhse....

wo samundar ka paani jab lehraate huye aata hai
aur pairo ko chhu ke nikal jaata hai,
lagta hai main kuch to kho raha hu!!!!!

Tip tip karke jo badalo se paani barasta hai,
dil pe jaise hukumat kar jaata hai...

Saari kayanat bas ek hi sawaal kar rahi ho
" Dekh tu aaj kaha khada hai?
Dekh tu aaj kya kar baitha hai...
Yeh wo nahi jiske tu waaden kiya karta tha...
Teri zindagi to humse hai...
kisi aur k liye khud ko saja dena chhod de...
Are jara palat ke to dekh...
Saari kayanaat tere saath hai....
Bas tu apne dil ki sun"

Dil ke dhadkane aise me ruk jaati hai
Aur main bas apne dil ko thamne unse bas yahi keh raha hu

" main apna waada pura karunga..."